Ahmad Faraz

kya aise kam-suKHan se koi guftugu kare

Ahmad Faraz

Sialkot, Punjab, Pakistan

1931-2008
kyā aise kam-suḳhan se koī guftugū kare
jo mustaqil sukūt se dil ko lahū kare
ab to hameñ bhī tark-e-marāsim kā dukh nahīñ
par dil ye chāhtā hai ki āġhāz tū kare
tere baġhair bhī to ġhanīmat hai zindagī
ḳhud ko gañvā ke kaun tirī justujū kare
ab to ye aarzū hai ki vo zaḳhm khā.iye
tā-zindagī ye dil na koī aarzū kare
tujh ko bhulā ke dil hai vo sharminda-e-nazar
ab koī hādsa hī tire rū-ba-rū kare
chup-chāp apnī aag meñ jalte raho 'farāz'
duniyā to arz-e-hāl se be-ābrū kare
Top Urdushayar.com