vo dushman-e-jāñ jaan se pyārā bhī kabhī thā
ab kis se kaheñ koī hamārā bhī kabhī thā
utrā hai rag-o-pai meñ to dil kaT sā gayā hai
ye zahr-e-judā.ī ki gavārā bhī kabhī thā
har dost jahāñ abr-e-gurezāñ kī tarah hai
ye shahr kabhī shahr hamārā bhī kabhī thā
titlī ke ta.āqub meñ koī phuul sā bachcha
aisā hī koī ḳhvāb hamārā bhī kabhī thā
ab agle zamāne ke mileñ log to pūchheñ
jo haal hamārā hai tumhārā bhī kabhī thā
har bazm meñ ham ne use afsurda hī dekhā
kahte haiñ 'farāz' anjuman-ārā bhī kabhī thā