jab tujhe yaad kareñ kār-e-jahāñ kheñchtā hai
aur phir ishq vahī koh-e-girāñ kheñchtā hai
kisī dushman kā koī tiir na pahuñchā mujh tak
dekhnā ab ke mirā dost kamāñ kheñchtā hai
ahd-e-fursat meñ kisī yār-e-guzishta kā ḳhayāl
jab bhī aatā hai to jaise rag-e-jāñ kheñchtā hai
dil ke TukḌoñ ko kahāñ joḌ sakā hai koī
phir bhī āvāza-e-ā.īna-girāñ kheñchtā hai
intihā ishq kī koī na havas kī koī
dekhnā ye hai ki had kaun kahāñ kheñchtā hai
khiñchte jaate haiñ rasan-basta ġhulāmoñ kī tarah
jis taraf qāfila-e-umr-e-ravāñ kheñchtā hai
ham to rahvār-e-zabūñ haiñ vo muqaddar kā savār
ḳhud hī mahmez kare ḳhud hī inaañ kheñchtā hai
rishta-e-teġh-o-gulū ab bhī salāmat hai 'farāz'
ab bhī maqtal kī taraf dil sā javāñ kheñchtā hai