jo bhī darūn-e-dil hai vo bāhar na aa.egā
ab āgahī kā zahr zabāñ par na aa.egā
ab ke bichhaḌ ke us ko nadāmat thī is qadar
jī chāhtā bhī ho to palaT kar na aa.egā
yuuñ phir rahā hai kāñch kā paikar liye hue
ġhāfil ko ye gumāñ hai ki patthar na aa.egā
phir bo rahā huuñ aaj unhīñ sāhiloñ pe phuul
phir jaise mauj meñ ye samundar na aa.egā
maiñ jāñ-ba-lab huuñ tark-e-ta.alluq ke zahr se
vo mutma.in ki harf to us par na aa.egā