ab ke tajdīd-e-vafā kā nahīñ imkāñ jānāñ
yaad kyā tujh ko dilā.eñ tirā paimāñ jānāñ
yūñhī mausam kī adā dekh ke yaad aayā hai
kis qadar jald badal jaate haiñ insāñ jānāñ
zindagī terī atā thī so tire naam kī hai
ham ne jaise bhī basar kī tirā ehsāñ jānāñ
dil ye kahtā hai ki shāyad hai fasurda tū bhī
dil kī kyā baat kareñ dil to hai nādāñ jānāñ
avval avval kī mohabbat ke nashe yaad to kar
be-piye bhī tirā chehra thā gulistāñ jānāñ
āḳhir āḳhir to ye aalam hai ki ab hosh nahīñ
rag-e-mīnā sulag uTThī ki rag-e-jāñ jānāñ
muddatoñ se yahī aalam na tavaqqo na umiid
dil pukāre hī chalā jaatā hai jānāñ jānāñ
ham bhī kyā saada the ham ne bhī samajh rakkhā thā
ġham-e-daurāñ se judā hai ġham-e-jānāñ jānāñ
ab ke kuchh aisī sajī mahfil-e-yārāñ jānāñ
sar-ba-zānū hai koī sar-ba-garebāñ jānāñ
har koī apnī hī āvāz se kaañp uThtā hai
har koī apne hī saa.e se hirāsāñ jānāñ
jis ko dekho vahī zanjīr-ba-pā lagtā hai
shahr kā shahr huā dāḳhil-e-zindāñ jānāñ
ab tirā zikr bhī shāyad hī ġhazal meñ aa.e
aur se aur hue dard ke unvāñ jānāñ
ham ki rūThī huī rut ko bhī manā lete the
ham ne dekhā hī na thā mausam-e-hijrāñ jānāñ
hosh aayā to sabhī ḳhvāb the reza reza
jaise uḌte hue aurāq-e-pareshāñ jānāñ