na manziloñ ko na ham rahguzar ko dekhte haiñ
ajab safar hai ki bas ham-safar ko dekhte haiñ
na pūchh jab vo guzartā hai be-niyāzī se
to kis malāl se ham nāma-bar ko dekhte haiñ
tire jamāl se haT kar bhī ek duniyā hai
ye ser-chashm magar kab udhar ko dekhte haiñ
ajab fusūn-e-ḳharīdār kā asar hai ki ham
usī kī aañkh se apne hunar ko dekhte haiñ
'farāz' dar-ḳhur-e-sajda har āstāna nahīñ
ham apne dil ke havāle se dar ko dekhte haiñ