Ahmad Faraz

har aashna mein kahan KHu-e-mehrmana wo

Ahmad Faraz

Sialkot, Punjab, Pakistan

1931-2008
har āshnā meñ kahāñ ḳhū-e-mehrmāna vo
ki bevafā thā magar dost thā purānā vo
pukārte haiñ mah-o-sāl manziloñ kī tarah
lagā hai tausn-e-hastī ko tāziyāna vo
hameñ bhī ġham-talabī kā nahīñ rahā yaarā
tire bhī rañg nahīñ gardish-e-zamāna vo
ab apnī ḳhvāhisheñ kyā kyā use rulātī haiñ
ye baat ham ne kahī thī magar na maanā vo
yahī kaheñge ki bas sūrat-āshnā.ī thī
jo ahd TuuT chukā yaad kyā dilānā vo
is ek shakl meñ kyā kyā na sūrateñ dekhīñ
nigār thā nazar aayā nigār-ḳhāna vo
bujhā diyā hai tujhe bhī 'farāz' duniyā ne
kahāñ gayā tirā har vaqt muskurānā vo
Top Urdushayar.com