sukūn-e-dil to kahāñ rāhat-e-nazar bhī nahīñ
ye kaisī bazm hai jis meñ tirā guzar bhī nahīñ
bhaTak rahā hai zamāna ghane añdhere meñ
vo raat hai jise andesha-e-sahar bhī nahīñ
na jaane kaun sī manzil ko le chale ham ko
vo ham-safar jo haqīqat meñ ham-safar bhī nahīñ
tirī nigāh kā dil ko yaqīñ sā hai varna
sunī hai baat kuchh aisī ki mo'atabar bhī nahīñ