us manzar-e-sāda meñ ka.ī jaal bañdhe the
jab us kā garebān khulā baal bañdhe the
ai zūd-farāmosh kahāñ tū hai ki tujh se
mere to shab-o-roz mah-o-sāl bañdhe the
vo rashk-e-ġhazālāñ thā magar daam meñ us ke
ham jaise ka.ī said-e-zabūñ-hāl bañdhe the
dekhe koī nāseh kī jo hālat hai ki ham to
us but kī mohabbat meñ bahar-hāl bañdhe the
sayyād ko phir bhī mirī parvāz kā Dar thā
maiñ garche qafas meñ thā par-o-bāl bañdhe the
yuuñ dil tah-o-bālā kabhī hote nahīñ dekhe
ik shaḳhs ke paañv se to bhauñchāl bañdhe the
vaqt aayā to maiñ maqtal-e-jāñ meñ thā akelā
yāroñ kī girah meñ faqat aqvāl bañdhe the