Ahmad Faraz

wahshaten baDhti gain hijr ke aazar ke sath

Ahmad Faraz

Sialkot, Punjab, Pakistan

1931-2008
vahshateñ baḌhtī ga.iiñ hijr ke āzār ke saath
ab to ham baat bhī karte nahīñ ġham-ḳhvār ke saath
ham ne ik umr basar kī hai ġham-e-yār ke saath
'mīr' do din na jiye hijr ke āzār ke saath
ab to ham ghar se nikalte haiñ to rakh dete haiñ
taaq par izzat-e-sādāt bhī dastār ke saath
is qadar ḳhauf hai ab shahr kī galiyoñ meñ ki log
chaap sunte haiñ to lag jaate haiñ dīvār ke saath
ek to ḳhvāb liye phirte ho galiyoñ galiyoñ
us pe takrār bhī karte ho ḳharīdār ke saath
shahr kā shahr hī nāseh ho to kyā kījiyegā
varna ham rind to bhiḌ jaate haiñ do-chār ke saath
ham ko us shahr meñ ta.amīr kā saudā hai jahāñ
log me.amār ko chun dete haiñ dīvār ke saath
jo sharaf ham ko milā kūcha-e-jānāñ se 'farāz'
sū-e-maqtal bhī ga.e haiñ usī pindār ke saath
Top Urdushayar.com