dukh fasāna nahīñ ki tujh se kaheñ
dil bhī maanā nahīñ ki tujh se kaheñ
aaj tak apnī bekalī kā sabab
ḳhud bhī jaanā nahīñ ki tujh se kaheñ
be-tarah hāl-e-dil hai aur tujh se
dostāna nahīñ ki tujh se kaheñ
ek tū harf-e-āshnā thā magar
ab zamāna nahīñ ki tujh se kaheñ
qāsidā ham faqīr logoñ kā
ik Thikāna nahīñ ki tujh se kaheñ
ai ḳhudā dard-e-dil hai baḳhshish-e-dost
āb-o-dāna nahīñ ki tujh se kaheñ
ab to apnā bhī us galī meñ 'farāz'
aanā jaanā nahīñ ki tujh se kaheñ