ranjish hī sahī dil hī dukhāne ke liye aa
aa phir se mujhe chhoḌ ke jaane ke liye aa
kuchh to mire pindār-e-mohabbat kā bharam rakh
tū bhī to kabhī mujh ko manāne ke liye aa
pahle se marāsim na sahī phir bhī kabhī to
rasm-o-rah-e-duniyā hī nibhāne ke liye aa
kis kis ko batā.eñge judā.ī kā sabab ham
tū mujh se ḳhafā hai to zamāne ke liye aa
ik umr se huuñ lazzat-e-girya se bhī mahrūm
ai rāhat-e-jāñ mujh ko rulāne ke liye aa
ab tak dil-e-ḳhush-fahm ko tujh se haiñ ummīdeñ
ye āḳhirī sham.eñ bhī bujhāne ke liye aa