jo qurbatoñ ke nashe the vo ab utarne lage
havā chalī hai to jhoñke udaas karne lage
ga.ī rutoñ kā ta.alluq bhī jān-levā thā
bahut se phuul na.e mausamoñ meñ marne lage
vo muddatoñ kī judā.ī ke baad ham se milā
to is tarah se ki ab ham gurez karne lage
ġhazal meñ jaise tire ḳhadd-o-ḳhāl bol uTheñ
ki jis tarah tirī tasvīr baat karne lage
bahut dinoñ se vo gambhīr ḳhāmushī hai 'farāz'
ki log apne ḳhayāloñ se aap Darne lage