Ahmad Faraz

muntazir kab se tahayyur hai teri taqrir ka

Ahmad Faraz

Sialkot, Punjab, Pakistan

1931-2008
muntazir kab se tahayyur hai tirī taqrīr kā
baat kar tujh par gumāñ hone lagā tasvīr kā
raat kyā so.e ki baaqī umr kī niiñd uḌ ga.ī
ḳhvāb kyā dekhā ki dhaḌkā lag gayā tābīr kā
kaise paayā thā tujhe phir kis tarah khoyā tujhe
mujh sā munkir bhī to qaa.el ho gayā taqdīr kā
jis tarah bādal kā saaya pyaas bhaḌkātā rahe
maiñ ne ye aalam bhī dekhā hai tirī tasvīr kā
jaane kis aalam meñ tū bichhḌā ki hai tere baġhair
aaj tak har naqsh fariyādī mirī tahrīr kā
ishq meñ sar phoḌnā bhī kyā ki ye be-mehr log
jū-e-ḳhūñ ko naam de dete haiñ jū-e-shīr kā
jis ko bhī chāhā use shiddat se chāhā hai 'farāz'
silsila TuuTā nahīñ hai dard kī zanjīr kā
Top Urdushayar.com