phir usī rahguzār par shāyad
ham kabhī mil sakeñ magar shāyad
jin ke ham muntazir rahe un ko
mil ga.e aur ham-safar shāyad
jān-pahchān se bhī kyā hogā
phir bhī ai dost ġhaur kar shāyad
ajnabiyyat kī dhund chhaT jaa.e
chamak uTThe tirī nazar shāyad
zindagī bhar lahū rulā.egī
yād-e-yārān-e-be-ḳhabar shāyad
jo bhī bichhḌe vo kab mile haiñ 'farāz'
phir bhī tū intizār kar shāyad