Ahmad Faraz

main to maqtal mein bhi qismat ka sikandar nikla

Ahmad Faraz

Sialkot, Punjab, Pakistan

1931-2008
maiñ to maqtal meñ bhī qismat kā sikandar niklā
qur.a-e-fāl mire naam kā aksar niklā
thā jinheñ zo.am vo dariyā bhī mujhī meñ Duube
maiñ ki sahrā nazar aatā thā samundar niklā
maiñ ne us jān-e-bahārāñ ko bahut yaad kiyā
jab koī phuul mirī shāḳh-e-hunar par niklā
shahr-vāloñ kī mohabbat kā maiñ qaa.el huuñ magar
maiñ ne jis haath ko chūmā vahī ḳhanjar niklā
tū yahīñ haar gayā hai mire buzdil dushman
mujh se tanhā ke muqābil tirā lashkar niklā
maiñ ki sahrā-e-mohabbat kā musāfir thā 'farāz'
ek jhoñkā thā ki ḳhushbū ke safar par niklā
Top Urdushayar.com