taḌap uThūñ bhī to zālim tirī duhā.ī na duuñ
maiñ zaḳhm zaḳhm huuñ phir bhī tujhe dikhā.ī na duuñ
tire badan meñ dhaḌakne lagā huuñ dil kī tarah
ye aur baat ki ab bhī tujhe sunā.ī na duuñ
ḳhud apne aap ko parkhā to ye nadāmat hai
ki ab kabhī use ilzām-e-bevafā.ī na duuñ
mirī baqā hī mirī ḳhvāhish-e-gunāh meñ hai
maiñ zindagī ko kabhī zahr-e-pārsā.ī na duuñ
jo Than ga.ī hai to yaarī pe harf kyuuñ aa.e
harīf-e-jāñ ko kabhī tān-e-āshnā.ī na duuñ
mujhe bhī DhūñD kabhī mahv-e-ā.ina-dārī
maiñ terā aks huuñ lekin tujhe dikhā.ī na duuñ
ye hausla bhī baḌī baat hai shikast ke ba.ad
ki dūsroñ ko to ilzām-e-nā-rasā.ī na duuñ
'farāz' daulat-e-dil hai matā-e-mahrūmī
maiñ jām-e-jam ke evaz kāsa-e-gadā.ī na duuñ