Ahmad Faraz

hum bhi shair the kabhi jaan-e-suKHan yaad nahin

Ahmad Faraz

Sialkot, Punjab, Pakistan

1931-2008
ham bhī shā.ir the kabhī jān-e-suḳhan yaad nahīñ
tujh ko bhūle haiñ to dil-dārī-e-fan yaad nahīñ
dil se kal mahv-e-takallum the to ma.alūm huā
koī kākul koī lab koī dahan yaad nahīñ
aql ke shahr meñ aayā hai to yuuñ gum hai junūñ
lab-e-goyā ko bhī be-sāḳhta-pan yaad nahīñ
avval avval to na the vāqif-e-ādāb-e-qafas
aur ab rasm-o-rah-e-ahl-e-chaman yaad nahīñ
har koī nāvak o tarkash kī dukāñ pūchhtā hai
kisī gāhak ko magar apnā badan yaad nahīñ
vaqt kis dasht-e-farāmoshī meñ le aayā hai
ab tirā naam bhī ḳhākam-ba-dahan yaad nahīñ
ye bhī kyā kam hai ġharīb-ul-vatanī meñ ki 'farāz'
ham ko be-mehrī-e-arbāb-e-vatan yaad nahīñ
Top Urdushayar.com