bhed paa.eñ to rah-e-yār meñ gum ho jaa.eñ
varna kis vāste be-kār meñ gum ho jaa.eñ
kyā kareñ arz-e-tamannā ki tujhe dekhte hī
lafz pairāya-e-iz.hār meñ gum ho jaa.eñ
ye na ho tum bhī kisī bhiiḌ meñ kho jaao kahīñ
ye na ho ham kisī bāzār meñ gum ho jaa.eñ
kis tarah tujh se kaheñ kitnā bhalā lagtā hai
tujh ko dekheñ tire dīdār meñ gum ho jaa.eñ
ham tire shauq meñ yuuñ ḳhud ko gañvā baiThe haiñ
jaise bachche kisī tyauhār meñ gum ho jaa.eñ
pech itne bhī na do kirmak-e-resham kī tarah
dekhnā sar hī na dastār meñ gum ho jaa.eñ
aisā āshob-e-zamāna hai ki Dar lagtā hai
dil ke mazmūñ hī na ash.ār meñ gum ho jaa.eñ
shahryāroñ ke bulāve bahut aate haiñ 'farāz'
ye na ho aap bhī darbār meñ gum ho jaa.eñ