Ahmad Faraz

har ek baat na kyun zahr si hamari lage

Ahmad Faraz

Sialkot, Punjab, Pakistan

1931-2008
har ek baat na kyuuñ zahr sī hamārī lage
ki ham ko dast-e-zamāna se zaḳhm kaarī lage
udāsiyāñ hoñ musalsal to dil nahīñ rotā
kabhī kabhī ho to ye kaifiyat bhī pyārī lage
ba-zāhir ek hī shab hai firāq-e-yār magar
koī guzārne baiThe to umr saarī lage
ilaaj is dil-e-dard-āshnā kā kyā kiije
ki tiir ban ke jise harf-e-ġham-gusārī lage
hamāre paas bhī baiTho bas itnā chāhte haiñ
hamāre saath tabī.at agar tumhārī lage
'farāz' tere junūñ kā ḳhayāl hai varna
ye kyā zarūr vo sūrat sabhī ko pyārī lage
Top Urdushayar.com