har koī dil kī hathelī pe hai sahrā rakkhe
kis ko sairāb kare vo kise pyāsā rakkhe
umr bhar kaun nibhātā hai ta.alluq itnā
ai mirī jaan ke dushman tujhe allāh rakkhe
ham ko achchhā nahīñ lagtā koī hamnām tirā
koī tujh sā ho to phir naam bhī tujh sā rakkhe
dil bhī pāgal hai ki us shaḳhs se vābasta hai
jo kisī aur kā hone de na apnā rakkhe
kam nahīñ tama-e-ibādat bhī to hirs-e-zar se
faqr to vo hai ki jo diin na duniyā rakkhe
hañs na itnā bhī faqīroñ ke akele-pan par
jā ḳhudā merī tarah tujh ko bhī tanhā rakkhe
ye qanā.at hai itā.at hai ki chāhat hai 'farāz'
ham to raazī haiñ vo jis haal meñ jaisā rakkhe