ham to ḳhush the ki chalo dil kā junūñ kuchh kam hai
ab jo ārām bahut hai to sukūñ kuchh kam hai
rañg-e-girya ne dikhā.ī nahīñ aglī sī bahār
ab ke lagtā hai ki āmezish-e-ḳhūñ kuchh kam hai
ab tirā hijr musalsal hai to ye bhed khulā
ġham-e-dil se ġham-e-duniyā kā fusūñ kuchh kam hai
us ne dukh saare zamāne kā mujhe baḳhsh diyā
phir bhī lālach kā taqāzā hai kahūñ kuchh kam hai
rāh-e-dunyā se nahīñ dil kī guzargāh se aa
fāsla garche ziyāda hai pe yuuñ kuchh kam hai
tū ne dekhā hī nahīñ mujh ko bhale vaqtoñ meñ
ye ḳharābī ki maiñ jis haal meñ huuñ kuchh kam hai
aag hī aag mire qarya-e-tan meñ hai 'farāz'
phir bhī lagtā hai abhī soz-e-darūñ kuchh kam hai