ḳhāmosh ho kyuuñ dād-e-jafā kyuuñ nahīñ dete
bismil ho to qātil ko duā kyuuñ nahīñ dete
vahshat kā sabab rauzan-e-zindāñ to nahīñ hai
mehr o mah o anjum ko bujhā kyuuñ nahīñ dete
ik ye bhī to andāz-e-ilāj-e-ġham-e-jāñ hai
ai chāragaro dard baḌhā kyuuñ nahīñ dete
munsif ho agar tum to kab insāf karoge
mujrim haiñ agar ham to sazā kyuuñ nahīñ dete
rahzan ho to hāzir hai matā-e-dil-o-jāñ bhī
rahbar ho to manzil kā pata kyuuñ nahīñ dete
kyā biit ga.ī ab ke 'farāz' ahl-e-chaman par
yārān-e-qafas mujh ko sadā kyuuñ nahīñ dete