Qateel Shifai

kya KHabar kab nind aae dida-e-be-KHwab mein

Qateel Shifai

Hazara, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1919-2001
kyā ḳhabar kab niiñd aa.e dīda-e-be-ḳhvāb meñ
shaam se ham jal rahe haiñ sāya-e-mahtāb meñ
ab tumhārī yaad se paḌte haiñ yuuñ dil meñ bhañvar
jaise kañkar pheñk de koī bhare tālāb meñ
jis galī meñ ghar tumhārā hai karo us kā ḳhayāl
ham to haiñ badnām apne halqa-e-ahbāb meñ
ahl-e-dil jaate the pahle sirf maqtal kī taraf
ḳhud-kushī bhī ab hai shāmil ishq ke ādāb meñ
yuuñ kisī kā pyaar āġhosh-e-havas meñ jā chhupā
koī lāsha jis tarah lipTā huā kam-ḳhāb meñ
rahmat-e-yazdāñ se māñgī ham ne do chhīñToñ kī bhiik
vo huā jal-thal ki bastī bah ga.ī sailāb meñ
gardish-e-daurāñ kī zad meñ yuuñ hai apnī zindagī
jaise chakrātī ho kashtī halqa-e-girdāb meñ
vādī-e-sarban meñ thiiñ jo mehrbāñ mujh par 'qatīl'
vo bahāreñ DhūñDhtī haiñ ab mujhe punjab meñ
Top Urdushayar.com