Ahmad Faraz

su-e-falak na jaanib-e-mahtab dekhna

Ahmad Faraz

Sialkot, Punjab, Pakistan

1931-2008
sū-e-falak na jānib-e-mahtāb dekhnā
is shahr-e-dil-navāz ke ādāb dekhnā
tujh ko kahāñ chhupā.eñ ki dil par giraft ho
āñkhoñ ko kyā kareñ ki vahī ḳhvāb dekhnā
vo mauj-e-ḳhūñ uThī hai ki dīvār-o-dar kahāñ
ab ke fasīl-e-shahr ko ġharqāb dekhnā
in sūratoñ ko tarsegī chashm-e-jahāñ ki aaj
kamyāb haiñ to kal hameñ nāyāb dekhnā
phir ḳhūn-e-ḳhalq o gardan-e-mīnā bachā.iyo
par chal paḌā hai zikr-e-mai-e-nāb dekhnā
ābād kū-e-chāk-e-garebāñ jo phir huā
dast-e-raqīb o dāman-e-ahbāb dekhnā
ham le to aa.e haiñ tujhe ik be-dilī ke saath
is anjuman meñ ai dil-e-betāb dekhnā
had chāhiye 'farāz' vafā meñ bhī aur tumheñ
ġham dekhnā na dil kī tab-o-tāb dekhnā
Top Urdushayar.com