Ahmad Faraz

apni hi aawaz ko be-shak kan mein rakhna

Ahmad Faraz

Sialkot, Punjab, Pakistan

1931-2008
apnī hī āvāz ko be-shak kaan meñ rakhnā
lekin shahar kī ḳhāmoshī bhī dhyān meñ rakhnā
mere jhuuT ko kholo bhī aur tolo bhī tum
lekin apne sach ko bhī mīzān meñ rakhnā
kal tārīḳh yaqīnan ḳhud ko dohrā.egī
aaj ke ik ik manzar ko pahchān meñ rakhnā
bazm meñ yāroñ kī shamshīr lahū meñ tar hai
razm meñ lekin talvār ko miyān meñ rakhnā
aaj to ai dil tark-e-ta.alluq par tum ḳhush ho
kal ke pachhtāve ko bhī imkān meñ rakhnā
us dariyā se aage ek samundar bhī hai
aur vo be-sāhil hai ye bhī dhyān meñ rakhnā
is mausam meñ gul-dānoñ kī rasm kahāñ hai
logo ab phūloñ ko ātish-dān meñ rakhnā
Top Urdushayar.com