us kā apnā hī karishma hai fusūñ hai yuuñ hai
yuuñ to kahne ko sabhī kahte haiñ yuuñ hai yuuñ hai
jaise koī dar-e-dil par ho sitāda kab se
ek saaya na darūñ hai na barūñ hai yuuñ hai
tum ne dekhī hī nahīñ dasht-e-vafā kī tasvīr
nok-e-har-ḳhār pe ik qatra-e-ḳhūñ hai yuuñ hai
tum mohabbat meñ kahāñ sūd-o-ziyāñ le aa.e
ishq kā naam ḳhirad hai na junūñ hai yuuñ hai
ab tum aa.e ho mirī jaan tamāshā karne
ab to dariyā meñ talātum na sukūñ hai yuuñ hai
nāsehā tujh ko ḳhabar kyā ki mohabbat kyā hai
roz aa jaatā hai samjhātā hai yuuñ hai yuuñ hai
shā.irī taaza zamānoñ kī hai me.amār 'farāz'
ye bhī ik silsila-e-kun-fayakūñ hai yuuñ hai