Ahmad Faraz

agarche zor hawaon ne Dal rakkha hai

Ahmad Faraz

Sialkot, Punjab, Pakistan

1931-2008

agarche zor havāoñ ne Daal rakkhā hai

magar charāġh ne lau ko sambhāl rakkhā hai

mohabbatoñ meñ to milnā hai ujaḌ jaanā

mizāj-e-ishq meñ kab e'tidāl rakkhā hai

havā meñ nashsha nashsha fazā meñ rañg rañg

ye kis ne pairahan apnā uchhāl rakkhā hai

bhale dinoñ bharosā kyā raheñ na raheñ

so maiñ ne rishta-e-ġham ko bahāl rakkhā hai

ham aise sāda-diloñ ko vo dost ho ki ḳhudā

sabhī ne vāda-e-fardā pe Taal rakkhā hai

hisāb-e-lutf-e-harīfāñ kiyā hai jab to khulā

ki dostoñ ne ziyāda ḳhayāl rakkhā hai

bharī bahār meñ ik shāḳh par khilā hai gulāb

ki jaise ne hathelī pe gaal rakkhā hai

'farāz' ishq duniyā to ḳhūb-sūrat thī

ye kis ne fitna-e-hijr-o-visāl rakkhā hai

Top Urdushayar.com