Ahmad Faraz

aisa hai ki sab KHwab musalsal nahin hote

Ahmad Faraz

Sialkot, Punjab, Pakistan

1931-2008
aisā hai ki sab ḳhvāb musalsal nahīñ hote
jo aaj to hote haiñ magar kal nahīñ hote
andar kī fazāoñ ke karishme bhī ajab haiñ
meñh TuuT ke barse bhī to bādal nahīñ hote
kuchh mushkileñ aisī haiñ ki āsāñ nahīñ hotīñ
kuchh aise muamme haiñ kabhī hal nahīñ hote
shā.istagī-e-ġham ke sabab āñkhoñ ke sahrā
namnāk to ho jaate haiñ jal-thal nahīñ hote
kaise hī talātum hoñ magar qulzum-e-jāñ meñ
kuchh yād-jazīre haiñ ki ojhal nahīñ hote
ushshāq ke mānind ka.ī ahl-e-havas bhī
pāgal to nazar aate haiñ pāgal nahīñ hote
sab ḳhvāhisheñ puurī hoñ 'farāz' aisā nahīñ hai
jaise ka.ī ash.ār mukammal nahīñ hote
Top Urdushayar.com