sāmne us ke kabhī us kī satā.ish nahīñ kī
dil ne chāhā bhī agar hoñToñ ne jumbish nahīñ kī
ahl-e-mahfil pe kab ahvāl khulā hai apnā
maiñ bhī ḳhāmosh rahā us ne bhī pursish nahīñ kī
jis qadar us se ta.alluq thā chalā jaatā hai
us kā kyā rañj ho jis kī kabhī ḳhvāhish nahīñ kī
ye bhī kyā kam hai ki donoñ kā bharam qaa.em hai
us ne baḳhshish nahīñ kī ham ne guzārish nahīñ kī
ik to ham ko adab ādāb ne pyāsā rakkhā
us pe mahfil meñ surāhī ne bhī gardish nahīñ kī
ham ki dukh oḌh ke ḳhalvat meñ paḌe rahte haiñ
ham ne bāzār meñ zaḳhmoñ kī numā.ish nahīñ kī
ai mire abr-e-karam dekh ye vīrāna-e-jāñ
kyā kisī dasht pe tū ne kabhī bārish nahīñ kī
kaT mare apne qabīle kī hifāzat ke liye
maqtal-e-shahr meñ Thahre rahe jumbish nahīñ kī
vo hameñ bhuul gayā ho to ajab kyā hai 'farāz'
ham ne bhī mel-mulāqāt kī koshish nahīñ kī