mirī nazar se na ho duur ek pal ke liye
tirā vajūd hai lāzim mirī ġhazal ke liye
kahāñ se DhūñDh ke lā.ūñ charāġh sā vo badan
taras ga.ī haiñ nigāheñ kañval kañval ke liye
kisī kisī ke nasīboñ meñ ishq likkhā hai
har ik dimāġh bhalā kab hai is ḳhalal ke liye
huī na jur.at-e-guftār to sabab ye thā
mile na lafz tire husn-e-be-badal ke liye
sadā jiye ye mirā shahr-e-be-misāl jahāñ
hazār jhoñpaḌe girte haiñ ik mahal ke liye
'qatīl' zaḳhm sahūñ aur muskurātā rahūñ
bane haiñ dā.ere kyā kyā mire amal ke liye