Qateel Shifai

jo bit gai uski KHabar hai ki nahin hai

Qateel Shifai

Hazara, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1919-2001
jo biit ga.ī us kī ḳhabar hai ki nahīñ hai
dekho mire tan par mirā sar hai ki nahīñ hai
is shahr-e-nadāmat se jo aa.e haiñ palaT kar
dar-pesh nayā un ko safar hai ki nahīñ hai
yāroñ ko bahut pyaar hai zindān-e-vafā se
lekin kisī dīvār meñ dar hai ki nahīñ hai
miltī ho ziyā jis ko charāġhoñ kī lavoñ se
us shahr meñ aisā koī ghar hai ki nahīñ hai
chehre pe sajā laayā huuñ maiñ dil kī sadā.eñ
duniyā meñ koī ahl-e-nazar hai ki nahīñ hai
sūraj kī guzargāh bane shāḳh na jis kī
aisā koī raste meñ shajar hai ki nahīñ hai
barsāt meñ koyal sī jahāñ kuuk rahī thī
ābād vo ḳhvāboñ kā nagar hai ki nahīñ hai
TuuTī huī masjid maiñ khaḌā dekh rahā huuñ
mahfūz shivāle kā gajar hai ki nahīñ hai
kyuuñ terā garebāñ hai 'qatīl' ab bhī salāmat
kuchh tujh pe na.ī rut kā asar hai ki nahīñ hai
Top Urdushayar.com