Qateel Shifai

zikr mera aur tere lab par yaad meri aur tere dil mein

Qateel Shifai

Hazara, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1919-2001
zikr mirā aur tere lab par yaad mirī aur tere dil meñ
jhūTī aas dilāne vaale aag na bhaḌkā mere dil meñ
mujh se āñkheñ pher ke tū ne ye mushkil bhī āsāñ kar dī
varna tere ġham ke badle letā kaun basere dil meñ
pyār-bharī ummīdoñ par aġhyār kī vo zar-posh nigāheñ
kāñToñ ke paivand lagā kar tū ne phuul bikhere dil meñ
pūchh rahī hai duniyā mujh se vo harjā.ī chāñd kahāñ hai
dil kahtā hai ġhair ke bas meñ maiñ kahtā huuñ mere dil meñ
kaash kabhī saffāk zamāna merā siina chiir ke dekhe
chain ke badle dard ne ab to Daal diye haiñ Dere dil meñ
Darte Darte soch rahā huuñ vo mere haiñ ab bhī shāyad
varna kaun kiyā kartā hai yuuñ pheroñ par phere dil meñ
pyaar kī pahlī manzil par anjān musāfir dekh rahā hai
āñkhoñ meñ sañgīn ujāle aur sayyāl añdhere dil meñ
ujḌī yaado TuuTe sapno shāyad kuchh mālūm ho tum ko
kaun uThātā hai rah rah kar Tīseñ shām-savere dil meñ
Top Urdushayar.com