Qateel Shifai

lahu mein Duba hua mila hai wafa ka har ek usul tujhko

Qateel Shifai

Hazara, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1919-2001
lahū meñ Duubā huā milā hai vafā kā har ik usuul tujh ko
maiñ jāntā huuñ pasand kyuuñ haiñ gulāb ke surḳh phuul tujh ko
gavāh ban kar batā rahī haiñ ye surḳhiyāñ terī uñgliyoñ kī
sameTne paḌ rahe haiñ ḳhuñḳhār jañgaloñ ke babūl tujh ko
thakī anā kā safar kahāñ tak kahīñ to ruk jā kahīñ to dam le
banā diyā hai masāfatoñ ne tire qadam kī hī dhuul tujh ko
ye reza reza sī ārzūeñ kabhī to kar de mire havāle
maiñ apne bikhre badan kī mānind dekhtā huuñ malūl tujh ko
ufuq ke us paar bhī munāsib nahīñ hai ādarsh kā ta.āqub
kahīñ tujhe be-vatan na kar de tirā ye shauq-e-fuzūl tujh ko
vo ḳhat raqīboñ ke haath aayā likhā thā jo mere naam tū ne
kahāñ kahāñ kar chukī hai rusvā tirī ye chhoTī sī bhuul tujh ko
tujhī ko nafrat rahī hai jin se vo jin kī ta.abīr sirf tū hai
vo āḳhir-e-shab ke ḳhvāb karne paḌeñge āḳhir qubūl tujh ko
'qatīl' kitne hī lafz apnī asaas kā zā.iqa badal leñ
agar batā duuñ kabhī maiñ apnī ġhazal kī shān-e-nuzūl tujh ko
Top Urdushayar.com