tumhārī anjuman se uTh ke dīvāne kahāñ jaate
jo vābasta hue tum se vo afsāne kahāñ jaate
nikal kar dair-o-ka.aba se agar miltā na mai-ḳhāna
to Thukrā.e hue insāñ ḳhudā jaane kahāñ jaate
tumhārī be-ruḳhī ne laaj rakh lī bāda-ḳhāne kī
tum āñkhoñ se pilā dete to paimāne kahāñ jaate
chalo achchhā huā kaam aa ga.ī dīvāngī apnī
vagarna ham zamāne bhar ko samjhāne kahāñ jaate
'qatīl' apnā muqaddar ġham se begāna agar hotā
to phir apne parā.e ham se pahchāne kahāñ jaate