har taraf satvat-e-arzañg dikhā.ī degī
rañg barseñge zamīñ dañg dikhā.ī degī
bārish-e-ḳhūn-e-shahīdāñ se vo aa.egī bahār
saarī dhartī hameñ gul-rañg dikhā.ī degī
parbatoñ se nikal ā.eñge thirakte paikar
naġhma-zan, ḳhāmushī-e-sañg dikhā.ī degī
raaz meñ rah na sakegī koī iz.hār kī lai
ik na ik sūrat-e-āhañg dikhā.ī degī
soch ko jur.at-e-parvāz to mil lene do
ye zamīñ aur hameñ tañg dikhā.ī degī
taaj kāñToñ kā sahī ek na ik din lekin
āshiqī zīnat-e-aurañg dikhā.ī degī
jab bhī parkhegā koī pyaar ke me.ayār 'qatīl'
saarī duniyā mire pasañg dikhā.ī degī