Qateel Shifai

thi ham-aghoshi magar kuchh bhi mujhe hasil na tha

Qateel Shifai

Hazara, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1919-2001
thī ham-āġhoshī magar kuchh bhī mujhe hāsil na thā
vo ik aisā lams thā jis meñ badan shāmil na thā
ret kī daldal milī mujh ko samundar paar bhī
maiñ vahāñ utrā jahāñ sāhil kabhī sāhil na thā
vo to ik sāzish thī mere ḳhuun kī mere ḳhilāf
jis ke sar ilzām aayā vo mirā qātil na thā
ham ne kaaTe peḌ to sāyoñ kī yaad aane lagī
lekin ab harf-e-nadāmat se bhī kuchh hāsil na thā
sar pe aa girtā hai takmīl-e-mohabbat kā pahāḌ
varna iz.hār-e-tamannā to koī mushkil na thā
par lagā kar uḌ ga.e āḳhir mirī nīñdoñ ke saath
pyaar ke vo ḳhvāb jin kā koī mustaqbil na thā
un se mil kar ye bhī dekhī sho.abada-bāzī 'qatīl'
dhaḌkaneñ maujūd thiiñ siine meñ lekin dil na thā
Top Urdushayar.com