shāyad mire badan kī rusvā.ī chāhtā hai
darvāza mere ghar kā bīnā.ī chāhtā hai
auqāt-e-zabt us ko ai chashm-e-tar batā de
ye dil samundaroñ kī gahrā.ī chāhtā hai
shahroñ meñ vo ghuTan hai is daur meñ ki insāñ
gumnām jañgaloñ kī purvā.ī chāhtā hai
kuchh zalzale samo kar zanjīr kī khanak meñ
ik raqs-e-vālehāna saudā.ī chāhtā hai
kuchh is liye bhī apne charche haiñ shahr bhar meñ
ik pārsā hamārī rusvā.ī chāhtā hai
har shaḳhs kī jabīñ par karte haiñ raqs taare
har shaḳhs zindagī kī ra.anā.ī chāhtā hai
ab chhoḌ saath merā ai yād-e-nau-javānī
is umr kā musāfir tanhā.ī chāhtā hai
maiñ jab 'qatīl' apnā sab kuchh luTā chukā huuñ
ab merā pyaar mujh se dānā.ī chāhtā hai