zindagī ke ġham lākhoñ aur chashm-e-nam tanhā
hasratoñ kī mayyat par ro rahe haiñ ham tanhā
mil sakā na koī bhī ham-safar zamāne meñ
kāTte rahe barsoñ jāda-e-alam tanhā
khel to nahīñ yaaro rāste kī tanhā.ī
koī ham ko dikhlā.e chal ke do-qadam tanhā
dil ko chheḌtī hogī yād-e-raftagāñ akasr
laakh jī ko bahlā.eñ shaiḳh-e-mohtaram tanhā
masjideñ tarastī haiñ us taraf azānoñ ko
is taraf shivāloñ meñ rah ga.e sanam tanhā
is bharī ḳhudā.ī meñ vo bhī aaj akele haiñ
ḳhalvatoñ meñ rah kar bhī jo rahe the kam tanhā
thī 'qatīl' chāhat meñ un kī bhī razā shāmil
phir bhī ham hī Thahre haiñ morid-e-sitam tanhā