gunāhgāroñ kī uzr-ḳhvāhī hamāre sāhib qubūl kiije
karam tumhāre kī kar tavaqqo.a ye arz kiite haiñ maan liije
ġharīb aajiz jafā ke maare faqīr be-kas gadā tumhāre
so veñ sitam siiñ mareñ bichāre agar jo un par karam na kiije
paḌe haiñ ham biich meñ balā ke karam karo vāste ḳhudā ke
hue haiñ bande tirī razā ke jo kuchh ke haq meñ hamāre kiije
bipat paḌī hai jinhoñ pe ġham kī jigar meñ ātish lagī alam kī
kahāñ hai tāqat unheñ sitam kī ki jin pe iitā itaab kiije
hamāre dil pe jo kuchh ki guzrā tumhāre dil par agar ho zāhir
tū kuchh ajab nahiñ pathar kī mānind agar yathā dil kī sun pasīje
agar gunah bhī jo kuchh huā hai ki jis siiñ iitā zarar huā hai
to ham siiñ vo be-ḳhabar huā hai diloñ siiñ is kuuñ bhulā.e diije
hue haiñ ham 'ābrū' nishāne lage haiñ ta.ane ke tiir khāne
tirā burā ho are zamāne batā tū is tarah kyuuñ ki jiije