Abroo Shah Mubarak

garche is buniyaad-e-hasti ke anasir chaar hain

Abroo Shah Mubarak

Lucknow, Uttar pradesh, India

1685-1733
garche is buniyād-e-hastī ke anāsir chaar haiñ
lekin apne niist ho jaane meñ sab nā-chār haiñ
dostī aur dushmanī hai in butāñ kī ek sī
chaar din haiñ mehrbāñ to chaar din bezār haiñ
jī koī mansūr ke juuñ jaan karte haiñ fidā
ve sipāhī āshiqoñ kī fauj ke sardār haiñ
ye jo sajtī hai kaTārī-dār mashrū kī izaar
mārne ke vaqt āshiq ke nañgī tarvār haiñ
dostī aur pyaar kī bātoñ pe ḳhūbāñ kī na bhuul
shoḳh hote haiñ nipaT ayyār kis ke yaar haiñ
jo nasha jvānī kā utregā to khīñcheñge ḳhumār
ab to ḳhūbāñ sab sharāb-e-husn ke sarshār haiñ
kis tarah chashmoñ setī jaarī na ho dariyā-e-ḳhūñ
thal na pairā 'ābrū' ham vaar aur ve paar haiñ
Top Urdushayar.com