kyuuñ malāmat is qadar karte ho be-hāsil hai ye
lag chukā ab chhūTnā mushkil hai us kā dil hai ye
be-qarārī siiñ na kar zālim hamāre dil kuuñ man.a
kyuuñ na taḌpe ḳhaak o ḳhuuñ meñ is qadar bismil hai ye
ishq kuuñ majnūñ ke aflātūñ samajh saktā nahīñ
go ki samjhāve pe samjhegā nahīñ aaqil hai ye
kaun samjhāve mire dil kuuñ koī munsif nahīñ
ġhair-e-haq ko chāhtā hai kyuuñ itā bātil hai ye
kaun hai insāñ kā koī dost aisā jo kahe
maut us kī fikr meñ laagī hai aur ġhāfil hai ye
āshiqī ke fan meñ hai dil siiñ jhagaḌnā be-hisāb
kuchh nahīñ baaqī rakhā is ilm meñ fāzil hai ye
ham to kahte the ki phir paane ke nahiñ jaane na do
ab ga.e par 'ābrū' phir pā.iye mushkil hai ye