Qateel Shifai

fasurdagi ka mudawa karen to kaise karen

Qateel Shifai

Hazara, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1919-2001
fasurdagī kā mudāvā kareñ to kaise kareñ
vo log jo tire qurb-e-jamāl se bhī Dareñ
ik aisī raah pe Daalā hai tere ġham ne ki ham
kisī bhī shakl ko dekheñ to ruk ke aah bhareñ
ye kyā ki be-sabab aa.e qazā javānī meñ
ye kyuuñ na ho ki tumhārī kisī adā pe mareñ
shab-e-alam ke bhī hote haiñ kuchh na kuchh ādāb
taḌapne vaale sahar tak to intizār kareñ
us ek baat ke ba.ad ab hazār baat karo
ye dil ke zaḳhm haiñ yaaro bhareñ bhareñ na bhareñ
subūt-e-ishq kī ye bhī to ek sūrat hai
ki jis se pyaar kareñ us pe tohmateñ bhī dhareñ
kuchh aise dost bhī merī nigāh meñ haiñ 'qatīl'
ki mujh ko baaz rakheñ jis se ḳhud usī pe mareñ
Top Urdushayar.com