Abroo Shah Mubarak

nigah teri ka ek zaKHmi na tanha dil hamara hai

Abroo Shah Mubarak

Lucknow, Uttar pradesh, India

1685-1733
nigah terī kā ik zaḳhmī na tanhā dil hamārā hai
jagat saarā tirī in shoḳh do añkhiyoñ kā maarā hai
hue haiñ āshiqāñ kī fauj meñ ham sāhib-e-naubat
bajāyā aah ke Dañke setī dil kā naqārā hai
hamārā dīn-o-maz.hab ai sajan terī itā.at hai
ḳhudā kā kyuuñ na ho bandā ki jin tujh kuuñ sañvārā hai
bujhā ai bevafā paanī suuñ apnī mehrbānī ke
dahaktā dil manīñ mere tire ġham kā añgārā hai
ḳhajil ho kar mirī añjhuvāñ kī jhaḌ señ abr paanī ho
taḌapnā dekh kar dil kā hamārā barq haarā hai
hameñ to raat din dil siiñ tumhārī yaad hai pyāre
tuman neñ is qadar pyāre haman kuuñ kyuuñ bisārā hai
nazar karnā karam siiñ 'ābrū' pe tum kuuñ lāzim hai
kisī laa.eq nahīñ to kyā huā āḳhir tumhārā hai
Top Urdushayar.com