koyal niiñ aa ke kuuk sunā.ī basant rut
baurā.e ḳhās-o-ām ki aa.ī basant rut
vo zard-posh jis kuuñ bhar āġhosh meñ liyā
goyā ki tab gale siiñ lagā.ī basant rut
vo zard-posh jis kā ki gun gāvte haiñ ham
shoḳhī niiñ us kī naach nachā.ī basant rut
ġhunche niiñ is bahār meñ kaDvāyā apnā dil
bulbul chaman meñ phuul ke gaa.ī basant rut
Tesū ke phuul dashnā-e-ḳhūnī hue use
birhan ke jī kuuñ hai ye kasā.ī basant rut
gaa.e hinDol aaj kalāvant khulas khulas
har taan biich kyā ke phulā.ī basant rut
bulbul huā hai dekh sadā rañg kī bahār
is saal 'ābrū' kuuñ ban aa.ī basant rut