Abroo Shah Mubarak

dil nin pakDi hai yar ki surat

Abroo Shah Mubarak

Lucknow, Uttar pradesh, India

1685-1733
dil niiñ pakḌī hai yaar kī sūrat
gul huā hai bahār kī sūrat
koī gul-rū nahīñ tumhārī shakl
ham ne dekhīñ hazār kī sūrat
tujh galī biich ho gayā hai dil
dīda-e-intizār kī sūrat
husn kā malak ham niiñ sair kiyā
kahīñ dekhī na pyaar kī sūrat
ab zamāna sabhī tarah bigḌā
kyā bane rozgār kī sūrat
vasl ke biich hijr jā hai bhuul
juuñ nashe meñ ḳhumār kī sūrat
is zamāne kī dostī ke ta.iiñ
kuchh nahīñ e'tibār kī sūrat
kuchh Thahartī nahīñ ki kyā hogī
is dil-e-be-qarār kī sūrat
mubtazil aur ḳharāb ho kar ke
apnī lauñDe niiñ ḳhvār kī sūrat
'ābrū' dekh yaar kā bro-dosh
dil huā hai kanār kī sūrat
Top Urdushayar.com