Abroo Shah Mubarak

yaad-e-KHuda kar bande yun nahaq umr kun khona kya

Abroo Shah Mubarak

Lucknow, Uttar pradesh, India

1685-1733
yād-e-ḳhudā kar bande yuuñ nāhaq umr kuuñ khonā kyā
haq chāhā suuī kuchh hogā un logoñ siiñ honā kyā
koī shaah kui gadā kahāve jaisā jis kā banā nasīb
jo kuchh huā tisī pe ḳhush rah naañ in logoñ señ honā kyā
sair safar kar dekh tamāshā qudarat kā sab aalam kā
ghar kuuñ jhoñk bhaaḌ ke bhītar āshiq ho kar konā kyā
jaan mamolā jagat piyārā jin dekhā so ThiThak rahā
chanchal nipaT achīle naināñ tan ke aage mirig chhūnā kyā
daaġh ke haikal anjhuvāñ kī maalā zīnat-e-ishq kī yahī nishānī
phireñ mast jo birah ke tan kuuñ motī laal pironā kyā
aaj 'ābrū' dil kuuñ hamāre shauq ne us ke magan kiyā hai
jaag anāḌī dekh tamāshā ishq lagā tab sonā kyā
Top Urdushayar.com