Abroo Shah Mubarak

dushman-e-jaan hai tishna-e-KHun hai

Abroo Shah Mubarak

Lucknow, Uttar pradesh, India

1685-1733
dushman-e-jāñ hai tishna-e-ḳhūñ hai
shoḳh hai baañk hai nikat bhuuñ hai
tujh kuuñ lailā bhī dekh majnūñ hai
dil-rubāoñ kā dil-rubā tuuñ hai
dil ke chhilne kuuñ ye laTak chalnā
sehr hai ToTkā hai afsūñ hai
ḳhāl-e-mushkīñ hai laal lab-hā par
yā mai-e-surḳh biich afyūñ hai
aan hai dard ke za.īfāñ par
aah dil kī alif hai qad nuuñ hai
darguzar kar raqīb siiñ ai dil
be-hayā hai rijālā hai duuñ hai
dard-e-sar kā ilaaj kyuuñ na kare
yaar kā rañg sandalī-gūñ hai
shaiḳh ḳhirqe meñ jab murāqib ho
gurba miskīn hai mirī juuñ hai
gar vafādār-kush nahīñ vo shoḳh
'ābrū' saath dushmanī kyuuñ hai
Top Urdushayar.com