nālāñ huā hai jal kar siine meñ man hamārā
pinjre meñ boltā hai garm aaj agan hamārā
piirī kamān kī jyuuñ maan.e nahīñ akaḌ kuuñ
hai zo.af biich duunā ab bāñkpan hamārā
chaltā hai jiiv jis par jaate haiñ us ke pīchhe
saude meñ ishq ke hai ab ye chalan hamārā
milne kī hikmateñ sab aatī haiñ ham ko ik ik
go bū-alī ho lauñDā khātā hai fan hamārā
majlis meñ āshiqoñ kī aur hī bahār ho jā
aave jabhī rañgīlā gul-pairahan hamārā
is vaqt jaan pyāre ham pāvate haiñ jī sā
lagtā hai jab badan se tere badan hamārā
ye muskurāonā hai to kis tarah jiyūñgā
tum ko to ye hañsī hai par hai maran hamārā
izzat hai jauhrī kī jo qīmtī ho gauhar
hai 'ābrū' haman kuuñ jag meñ suḳhan hamārā