Abroo Shah Mubarak

hum nin sajan suna hai us shoKH ke dahan hai

Abroo Shah Mubarak

Lucknow, Uttar pradesh, India

1685-1733
ham niiñ sajan sunā hai us shoḳh ke dahāñ hai
lekin kabhū na dekhā kiitā hai aur kahāñ hai
DhūñDā hazār to bhī terā nishāñ na paayā
lashkar meñ gul-ruḳhāñ ke terī masal kahāñ hai
ab tishnagī kā roza shāyad khule hamārā
shaam o shafaq sajan kā missī o rañg-e-pān hai
dil meñ kiyā hai daavā añkhiyāñ huī haiñ munkir
terī kamar kā jhagḌā in do ke darmiyāñ hai
rahtā huuñ ai piyāre qadmoñ tale tumhāre
jis raah aavte ho aajiz kā vhiiñ makāñ hai
tujh ḳhatt-e-pusht-e-lab meñ tis kā suḳhan huā sabz
us kī zabāñ dahan meñ mānind-e-barg-e-pāñ hai
piirī siiñ qad kamāñ hai har-chand 'ābrū' kā
is naujavāñ kī ḳhātir dil ab talak kashāñ hai
Top Urdushayar.com